aaj kal to garib aadmi chhoti si chhoti bimariyon ke wajah se tadap tadap kar mar jata hai uska karan hai badhte dwaiyon ki kimat aaj kisi ko ek fewer ki tablet kharidni ho to uske pas kam se kam 100 rupaiye honi chahiye kyunki aaj kal pharmist companiyan dwaon ki rate din rat chauguna karti ja rahi hai isme aam log pis jate hai aise me hamari sansthan gramya swarajya sewa samiti bahut jaldi aam garib janta tak kam rate me dawa unke hi gaon me medical store tak saste rate me pahunchane ki prakriya shuru ho rahi hai yeh aam dawaon se alag hogi pharmist companiyon ke nam se nahi milegi ye ek genric medicine hoti hai . yah dawa ka chemical name hai . yah har dawa ki tarah hi hoti hai magar ispe kisi company ka nam nahi hoga jaise ki ketogate eye drop , iska rate hai 76 rupaye ketogate pharmist company ka nam hai iska chemical nam gatiflozacin and ketorolac main hai is chemical nam ko genric nam bolte hai genric nam se yah kewal matr 12 rupaye me milegi yeh sidha isi nam se mil jaegi . hum puri koshish kar rahe hai aap tak jald se jald yah yojna pahunche aur ek garib aadmi dehydration jaisi bimari se na mar sake kyunki aaj dawa ke rate ki wajah se hi ek aam admi hospital ke bed par hi aapna dam tor deta hai . future me aab aisa na ho mai puri koshish karunga bas aaplog ki mujhe jarurat hai .yah yojna india ke kuch state me shuru ho gai hai magar pharmist companiya aur kuch bare doctors iska birodh kar rahe hai kyunki unka bussiness kharab ho jaega wo aam admi ko lut nahi sakenge lekin mai aisa nahi hone dunga mai bahut jald un state ke jaise bharat ke har state me is scheme ko jan jan tak pahuncha kar rahunga .
GHANSHYAM TIWARI
health is good life is good
ReplyDeleteMAI CHAHATA HU KI IS YOJANA KO LANE ME MERI PURI HELP KARE AAP SUB
ReplyDeleteyahhh its reallyyy ofcourse help poor people
ReplyDelete